Pakistan

[Poetry] Mausmi Murghabian

mausmi murghabia
by Nur

Related Articles

3 Comments

  1. Kya Khub Kaha hy..!

    Baccha Ye Bola Amma Main to Banon Ga Lotta..
    Tu Apni Hasraton Pe Aansoo Baha K Sou Jaa…..

  2. Ae Khuda Ye Kon Hai

    Ae khuda ye kon hay
    jo election ladne aya hai
    aur sardar bannana chata hai
    hamne use kabhi dekha tha na dekha hai ,
    Jab mailey bharaun ka aatay hain
    ya gawuun men mushkil ajaye
    ye kon hey,us ko aaj yahan kia cheez utha ke lai hai
    Ye kia matti ki mohabbat hai
    jis ko wo dhool samajta hai
    aur khud ko bachaa ke rakhta hai
    ya phir muhabbat logoon se
    jo us ne kabhi dekhey hi nahi
    Kia us ko pata kia his us ko khabar
    Ye log keise jeetey hain
    Jab ghar me faaqe padte hain
    aur bachay bhuk se rote hain
    kiuonker Mayen behlati hain
    Sardi ka mosam ata hai
    kiunker ye tinke chunte hain
    jin se bas ek waqt sirf
    Angethi jalne lagti hai
    Phir foran hi buj jati hai
    bache thitherne lagte hain
    Ma haat malti rehti hain
    Jab bemaari ghar ajaye
    ek thande toliye ke sewa
    aur koi charai kar naho
    Aey kash koi batlaiey usey
    Wo kia baneney aya hai
    poochey us se koi saaf saaf
    Sharam se kiun juk jate ho
    Saaf kiun nei kehte ho
    Tume konsa shooq yahan laya hai
    taqat aur hukumat ka
    ya ghalbat ka
    Par udte panchi yad rakh
    ab yan bhi mosam badle hain
    Ab yan tere bas ki baat nahi

Back to top button